Saanchi jyotaan waali mata, teri jai-jai kaar
-2.
Toone mujhe bulaayaa Sheraawaaliye, main aaya main
aaya Sheraawaliye
O Jyotaanwaaliye, Pahadaanwaaliye, O Mehraanwaaliye
|| Toone ||
Saara jag hai, ek banjara, sabki manzil tera dwaara,
Oonche parvat lamba rasta -2, par main na rah paya Sheraawaaliye
|
Main aaya main aaya Sheraawaliye ||
Soone man mein jal gai baati, tere path mein mil gaye
saathi,
Toone sabko darshan dekar -2, apne gale lagaya Sheraawaaliye
|
Main aaya main aaya Sheraawaliye ||
Kaun hai raja, kaun bhikari, ek barabar tere saare pujari,
Munh kholun kya tujh se maangun -2, bin maange sab paaya
Sheraawaaliye |
Main aaya main aaya Sheraawaliye ||
More Bhajan..
|